Mili hai bahut saza unse dil lagane ki,
Nazar lag gayi mere pyar ko jamane ki,
Mar kar bhi kabr se nikle rahe dono haath
Kyonki aarzo reh gayi unhe gale lagane ki
Ek roz bhari duniya se chala jaoonga
guzre huey waqt ki tarha wapas na aaoonga
tujhse jo pyar mila hai, us pyar ki kasam
tujhe zindagi bhar kabhi na bhulaaonga
Is kadar na har baat yaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharo se puchho,
Lahero se khelna to samandar ka shauk hai,
Lagti hai chot kaise kinaro se puchho